yaadon ka ye kaarvan ,
chal pada hai aaj kis aur..
yaad aaya beeta hua vo kal,
kuch yaadein, aur gujra hua vo daur...
dhundli hoti yaadon se ,
kuch lamhe chura lun,
samet ke rakh lu unhe,
dil mein chupa lu..
waqt ka dariya, yu behta chala gaya,
kuch khoya,
kuch paya,
samajh na aaya kya peeche reh gaya..
Kyo bhool gayi mein khud ko,
Zindagi ke is fere mein,
jab roshni ki chah thi,
to kyo rahi andhere mein...
jab waqt mere sath tha,
tab khud hi kyo muh moda tha...
jab waqt raha mere sath nahi,
tab sabka dil kyo toda tha..
jab saare mausam jhel lie..
ek kaante se kyo dar gae.
kyo roe,
kyo ghabrae,
manzil se kyo peeche hat gae..
kyo aaj fer goonj raha hai,
yaadon ka ye shor,
kyo fer yaad aae vo lamhe,
vo gujra hua daur...
chal pada hai aaj kis aur..
yaad aaya beeta hua vo kal,
kuch yaadein, aur gujra hua vo daur...
dhundli hoti yaadon se ,
kuch lamhe chura lun,
samet ke rakh lu unhe,
dil mein chupa lu..
waqt ka dariya, yu behta chala gaya,
kuch khoya,
kuch paya,
samajh na aaya kya peeche reh gaya..
Kyo bhool gayi mein khud ko,
Zindagi ke is fere mein,
jab roshni ki chah thi,
to kyo rahi andhere mein...
jab waqt mere sath tha,
tab khud hi kyo muh moda tha...
jab waqt raha mere sath nahi,
tab sabka dil kyo toda tha..
jab saare mausam jhel lie..
ek kaante se kyo dar gae.
kyo roe,
kyo ghabrae,
manzil se kyo peeche hat gae..
kyo aaj fer goonj raha hai,
yaadon ka ye shor,
kyo fer yaad aae vo lamhe,
vo gujra hua daur...
No comments:
Post a Comment